careful
Aaj subah-subah mere paas is number ([PHONE]) se ek call aaya. Truecaller par iska naam Aditya Maurya dikha raha hai aur profile picture mein police ki vardi lagi hui hai. Call karne wale ne mujhse kaha ki "Aap staff room mein rehte the aur aapne wahan ek ladke ka mobile chori kiya hai, main police thane se bol raha hoon." Yeh log police ki DP (profile picture) lagakar aur bilkul unhi ki tone mein baat karke logon ko darane ki koshish karte hain, taaki log darr jayein aur unke jhanse mein aa jayein. Yeh poori tarah se ek fake aur fraud call hai jo darane aur paise ainthne ke maqsad se kiya gaya hai. Main aap sabhi ko aagah karna chahta hoon ki is tarah ke kisi bhi fraud call ke jhanse mein na aayein aur satark rahein!
Comments (1)
- AARYAN SINGH2 months ago
be careful 😌
4